10

19 5 1
                                    

This is not a poem but a paragraph only 💯

Jab waqt haath se nikal jata hai na, tab pachtaney ka bilkul fayeda nahi hota. Abhi ehsas nahi hoga lekin bad me rona parega. Aik doosre ko neecha dikhane ki dorr se bahir nikal ao, dekho Allah ne Zindagi mein tumhare lie kya kya cheezen makhsoos kar rakhi hain. Apne aap ko pehchano. Apne khuda ko pehchano. Chor do ye dunya ke sath muqabley. Apne aap ko behtar karne pe zorr do aur apni kawishon se sabka dil jeeto. Ho sake to bohat hi kam logon se ikhtilaf aur larayi karo aur fuzool aur be mayni cheezon per to bilkul nahi kyunke iss se kuch hath nahi ayega, ulta baad mein pachtawe hi pachtawe honge. Dukh hi dukh hoga. Khush raho, doosron ko aur apne khuda ko khush karo. 💛

Poetry BookWhere stories live. Discover now