8

554 40 7
                                    


' Ma, kya ap papa ko bula skti hain?
Hmare school main father's day pr sb bcho ke fathers ko bulaya hay aur kaha hay ke jis bche ke father competition jeete ge wohi best father aur best child duo ka award jeetege. '

Hooriya, hmari baby, sonay se pehle mjhe ankhon main umeed aur hasrat liye puch rhi thi.Pichle do saalon ki trah, iss baar bhi main uski iss khuwahish ko poora krne ke liye kuch bhi krskti thi.Agar usse hmari fikar nahi tw phir hmain bhi usse beprwah ho kr jeena chahye. Lekin aesa nahi tha.

Subah ki fajar ki azaan ke sath, meri neend khuli aur phir jldi jldi maine apna hulya ek mard ki trah bnaya aur baby ke liye nashta bana kr usse uthana ke liye gyi.Hooriya mjhe apne papa smjh kr bohat khush hogyi, lekin wo ye janti thi ke main uska baap nahi bnskti. Jo pyaar ka hissa ek bache ko uske baap ki traf se milta hay wo uska baap hi de skta hay, aur jo hissa uski maa deti hay wo hissa dunya main koi aur nahi de skta. Gharz ye ke waldain ka koi naimul badal nahi tha, lekin main apni beti ke liye uska baap bhi bnne ko tyyar thi. Uski khushi main hi meri khushi thi.

" And the winner is Hooriya !
Mrs. Seema being the exceptional and the fabulous dad mommy! "

Khushi ke ansoo thay ya gham ke, ye tw Allah hi janta tha jo meri ankhon se nikal prre thay.

Wo, yaqeenan apni kisi beinteha important meeting main hmesha ki trah masroof thay. Aur yahan unki family ka kirdar main hi ada kr rhi thi, ek maa aur ek baap dono ban kr.

Km se km meri iss mehnat se meri beti tw khush hosaki thi, uski ek muskurahat mere sare ghamon ko dho dene main kamyab thi.

Aur phir uss shaam main Hooriya ke galay se lag kr khoob royi, aur na usse main ne mjhe Maa pukarne se roka tha, ab main apni beti ko apnane se nahi mukar skti thi.

DeewangiWhere stories live. Discover now