4

915 51 2
                                    


****

Chooryon ke khanakne ki awaaz aur uski makhsus khushbu mere hosh pr prda dalay huay thi, main uski traf besimt daur rha tha ya shayad meri nzrain uska taqub kr rhi theen.

" Kese ho mere dost, mere yaar! Zoyaan, tu tw pehle se zyada handsome hogya hay! Ma sha Allah. Aur shaadi waadi ki ya abhi tk apni mehbuba ko propose krne ke chakkar main phnse huay ho ?? "

Samne se ata hua Farooq mjhe dikhai nahi dya tha , main iss qadar usse sochne main masroof tha.

' Ohh Ma sha Allah brkhurdar ap bhi kuch kam nahi lgrhe! Kya baat hay jab se tumhe London main job milgyi hay tm tw barre admi bngye ho. Ye tw Party ka bahana tha ke tm milne aye, wrna tw... '

" Nahi aesa nahi mere dost, aur yahan aane ki aik khaas wajah bhi thi. Aur wo jante ho kya hay? "

' Tw phir tmhara surprise issi se related hay kya? Tmne shaadi nahi ki? '

" Ye dekho. "

Farooq ne meri traf ek mehroon color ke lifafe ko agay pesh krte huay kaha, wo lifafa sunehri zari se khubsurti se bandha gya tha. Aur uske upar " Wedding Invitation " ke huroof aafshan se chamak rhe thay.

' Tu shaadi kr rha hay , oh... Tbhi main kahu ye jawani charh kar kiun bolrhi hay. Mubarak ho mere dost! Kon hay akhir wo pari. '

" Ayy, wo teri bhabhi hay. Aur haan hay tw wo pari hay aur naam janega tw sun kr tu bhi chonk jayega. Khol kr tw dekh. "

Uski ankhon main chamak ayr uski chehre ki khushi bata rhi thi ke wo jiss lrki se shadi krne wala hay, bohat achi hay aur wo ussi wjah se bohat khush hay, aur ho bhi kiun na? Uski qismat pr dolat aur mohabbat ne dono aik sath dastak jo di thi!

Main apne dost ke liye dil se khush tha, hum sirf college ke hi nahi blke school se purane dost thay. Hmare abba hum dono ko bari bari, apni purani bike pr bithaye school chorte thay aur hum apni chaar rupay ke jaib kharch ko dono jama krke ikhattay khoob aish krte thay. Wo bhi kya din thay. Sochte sochte aik khamosh sa ansoo meri ankhon se nikal parra.

" Tujhe kyaa hua? Tu dil mat chota kar, tujhe bhi In sha Allah bohat jald khushyan milne wali hain. ''

Uss ne mere kandhe ko thapthapate huay taassali se kaha. Jab maine wo lifafa khola tw dulhan ka naam prhte hi mera rang fiq hone laga, aesa laga jese abhi abhi farishton ne ameen bolne se farooq ki dua pr inkar kya ho.

' A.. Ayesha Kanwal... ? '

" Kyun lag gya na jhatka! "

Uski ankhen tashakur aur Tamskhur dono se bhari hui theen, aur yahan mere ankhon ke samne andhera cha rha tha.

****

DeewangiWhere stories live. Discover now