"Jaweriya, professor itmenaan se notes lekar do mujhe" Imama ne Jaweriya ko mukhatib kiya, jo kitab kholey baithi hui thi. Jaweriya ne haath badha kar apni ek notebook use thama di. Imama notebook khol kar safey palatne lagi. Jaweriya ek baar phir kitaab ke mutalle me masroof ho gayi. Kuch der baad use achanak jaise khayal aaya tha, usne mudh kar apne bistar par baithi Imama ko dekha.
"Tumne lecture karna kyu band kar diya hai?" Usne Imama ko mukhatib kiya. Imama ne notebook se nazrein hata kar use dekha.
"Mujhe kuch samajh me aaye to me note karu. "
"Kya matlab, tumhe professor itmenaan ka lecture bhi samajh nahi aa raha. " Jaweriya ko jaise hairat hui."
"Itna achha to padhate hain"
"Mene kab kaha bura padhate hain"
"Bas mujhe....... " Usne kuch uljhe hue lehje me baat adhoori chodh di. Wo ek baar phir apne haath me pakdi notebook ko dekh rahi thi. Jaweriya ne ghaur se use dekha.
"Tum aaj kal kuch ghayab dimaag nahi hoti jaa rahi, kya baat hai disturb ho kisi wajah se" Jaweriya ne apni kitaab band karte hue saamne baithi Imama se bade dardmandana lehje se poocha.
"Dis-disturb.......nahi esi koi baat nahi hai" Wo badhbadai.
"Tumhari aankho ke gird halkhe bhi padhe hue hain. Kal raat ko shayad 3:30 ka waqt tha jab meri aankh khuli, tum us waqt bhi jaag rahi thi."
"Me padh rahi thi", usne madafiyana lehje me kaha.
" Nahi, sirf kitab apne saamne rakhe baithi thi. Magar kitab par nazar nahi thi tumhari." Jaweriya ne ozey-radh karte hue kaha.
"Tumhe koi masla to nahi hai?"
"Kya masla ho sakta hai mujhe?"
"Phir tum itni chup chup kyu rehne lagi ho? " Jaweriya uski taal ma tol se mutassir hue baghair boli.
"Nahi, me kyu chup rahoongi" Imama ne muskurane ki koshish ki. "Me to pehle ki hi tarah bolti hu"
"Sirf me hi nahi, baaqi sab bhi tumhari pareshani ko mehsoos kar rahe hain. " Jaweriya sanjeedgi se boli.
"Koi baat nahi hai, sirf studies ki tention hai mujhe."
"Me yaqeen nahi kar sakti. Hum bhi tumhare saath hain, tumhe humse zyada to tention nahi ho sakti. Jaweriya ne sar hilate hue kaha, Imama ne gehra saans liya. Ab wo zitch ho rahi thi.
" Tumharr ghar me to khairiyat hai na? "
"Haan bilkul khairiyat hai"
"Asjad ke saath koi jhagda to nahi hua? "
"Asjad ke saath jhagda kyu hoga... " Imama ne usi andaaz me poocha.
" Phir bhi koi ikhtilaaf...... " Jaweriya ki baat usne darmiyaan me hi kaat di
"Jab keh rahi hu ki koi masla nahi hai to tumhe yaqeen kyu nahi aa raha!!! Itne saalon se konsi esi baat hai jo mene tumse share nahi ki, ya jo tumhe pata nahi hai, phir bhi tum mujhe mujrim samajh kar tafteesh kar rahi ho. " Wo ab khafa hobrahi thi.
Jaweriya gashbada gayi, "yaqeen kyu nahi karoongi, me sirf isliye israar kar rahi thi ke..... Shayad tum mujhe isliye apna masla nahi bata rahi ki me pareshaan na ho jau. Aur to koi baat nahi." Jaweriya kuch nadim si hokar, uske bed se uthkar apni study table ke paas chali gayi. Usne ek baar phir kitab khol li, jise wo pehle padh rahi thi. Kaafi der tak kitab padhne ke baad, usne jamai li aur gardan modh kar lashahoori taur par Imama ko dekha. Wo notebook khole baithi thi, par nazrein saamne wali dewaar par thi.
X-----X-----X
Usne gaadi neher ke pull se kuch faasle pe rok di. Phir diggi se ek bori aur rassi nikali. Wo bori ko khechte hue us pull ki taraf badh raha tha. Paas se guzarne wale kuch rahgeero ne use dekha, par ruke nahi. Upar pohoch kar usne apni shirt utar ka neher me phenk di. Chand lamho me behte pani ke saath uski shirt ghayab ho gayi thi. Dark blue color ki tang jeans me uska lamba qad aur khoobsurat jism bht numaya tha. Us shaqs ki aankhon me koi esa tassur tha, jise padhna doosre kisi bhi shaqs ke liye na mumkin tha. Uski umr 19-20 saal hogi magar uske qad o qaamat aur uske huliye ne jaise uski umr ko badha diya tha.
YOU ARE READING
Peer -e- Kamil ( ROMAN URDU )
SpiritualPeer-e-Kamil (English: The Perfect Mentor) is a story focusing on a deviational sect which violates the finality of our Prophet (P.B.U.H) meanwhile, narrating a heart wrenching journey of two unhappy souls; Salaar Sikandar, a genius with an outstan...