Ch. 1 (part - 3)

18.6K 68 16
                                    

Ye uske saath teesri baar hua tha. Pehli 2 baar drugs istemaal karne ke baad wo isi tarah baitha raha tha. Jabke uske dost nashe me bht jald dhut hue they. Raat ke pichle peher wo in logon ko isi haalat me chodh kar ghar aa gaya tha. Aaj bhi wo yehi karna chahta tha. Kamre ke andar moujood drug ki boo se ab pehli baar wo ulajhne laga. Usne khade hone ki koshish ki aur wo ladkhadaya. Apni ladkhahat pe qaabu patey hue wo seedha khada ho gaya. Neeche jhuk kar usne carpet se keyring, volet aur credit card uthaye. Phir aage badhke usne stereo ko band kar diya. Apni mutawarrim aur surkh aankhon se usne kamre me ek nazar dorai, yun jaise ki wo kuch yaad karne ki koshish kar raha ho. Phir wo kamre ki darwaze ki taraf badh gaya. Ek baar phir usne neechey baith kar joggers pehne. Unke taswon ko takhno ke gird lapetkar girah baandhi. Phir darwazey ka lock khol kar bahar nikal gaya. Roshni se wo yak dam corridor ki taariki me aa gaya tha. Andhere me apna raasta dhoondte hue wo annexe ke behrooni darwaze ko kholta hua bahar lawn me aa gaya.

Annexe ki seedhiyan utarte hue apni naak se koi cheez behti mehsoos hui. Baayan haath uthakar usne apne oopri honth pe rakha. Uski ungliyaan chip chipane lagi thi. Apna haath uthatey hue usne annexe ki behrooni light ki roshni me dekha. Uske poron par khoon ke qatre lage hue they. Usne apne trouser ki jeb tatoltey hue andar se ek rumaal baramat kiya. Aur apne poron pe laga khoon saaf kiya. Uske baad usi rumaal se apni naak pe chamakta khoon saaf kiya.

Use apne halaq me koi cheez chubhti hui mehsoos hui. Usne khankaar ke apna gala saaf karne ki koshish ki. Use ab ghutan ka ehsaas hone laga. Chand gehri saans lekar usne ghutan kam karne ki koshish ki. Wahin khade khade usne 2 - 3 baar thooka. Aur ek baar phir seedhi utarne ke liye qadam badhaya. Wo yak dam thatak kar reh gaya. Uske naak me ajeeb si sansanahat hui. Aur phir yak dam koi cheez poori quwwat se behne lagi. Wo beikhtiyaar kamar ke bal jhuk gaya.

Ek dhaar ki soorat me uski naak se nikalne wala khoon seedhiyon par girne laga tha. Marble pe phisalta hua khoon, wo use dekhta raha.







X-----X-----X






Golf club me taqreeb e takseem e namat munaqqid ki jaa rahi thi. 16 saal ka Salar Sikandar bhi under 16 ki category me '7 under par' ke score ke saath pehli position ki trophy wasool karne ke liye moujood tha. Sikandar Usman ne Salar sikandar ka naam pukare jane par taaliyaan bajate hue, us trophy cabinet ke bare me socha, jisme is saal unhe mazeed tabdeeliyan karwani padengi. Salar ko milne wali shields aur trophys ki tadad is saal bhi pichle saalon jaisi hi thi. Unke tamaam bache padhaai me bht achhe they magar salar sikandar baaqi sabse mukhtalif tha.


Trophys, shields aur certificate ke maamle me wo sikandar Usman ke baaqi bachhon se bht aage tha. 150 IQ ke haamil us bachhe ka muqabla karna unme se kisi ke liye mumkin tha bhi nahi. Fakhriya andaaz me taali bajate sikandar Usman ne Daayein taraf baithi apni biwi se sargoshi me kaha

"Ye golf me uski 13th aur is saal ki chauthi trophy hai"

"Har cheez ka hisaab rakhte ho tum" Uski biwi ne muskurate hue Jaise qad e satayshi andaaz m3 apne shauhar se kaha, jiski nazre mehmaan e khususi se trophy wasool karte salar par marqoos thi.

"Sirf golf ka, aur kyu tum achhi tarah janti ho" Sikandar Usman ne biwi ko dekha jo ab set ki taraf jate salar ko dekh rahi thi.

"I bet, agar ye us waqt muqabale me shirkat karne wale professional khiladiyon ke saath khel raha hota, to bhi us waqt uske haath me ye hi trophy hoti. " Sikandar Usman ne door se bete ko dekhte hue kuch fakhriya andaaz me dawa kiya.

Salar, apni seat ke eteraaf me moujood doosri seeton par moujood doosre inamaat wasool karne walon se haath mila raha tha. Uski biwi ko sikandar Usman ke dawe par koi hairaani nahi hui. Kyuki wo janti thi ye ek aulad ke baare me baap ka jazbati jumla nahi tha. Wo waqai itna hi ghair mamuli tha. Usne 2 hafte pehle apne bhai zubair ke saath, isi golf course par aththaarwa (18th) hole par khele jane wala golf matche yaad aaya. Rough me ittafaqan gir jane wali ball ko wo jis safai aur maharath ke saath green par laya tha, usne zubair ko mahv e hayat kar diya. Zubair pehli baar salar ke saath golf khel raha tha. 

Peer -e- Kamil ( ROMAN URDU ) Where stories live. Discover now