Wo new year night thi, naya saal shuru hone me 30 minutes baaqi they. 10 - 15 ladko par mushtamil 14 - 15 saal ke ladko ka wo group, pichle 2 ghanton se apni motorcycles par sheher ki mukhtalif sadkon par apne kartab dikhane par masroof tha. Unme se chand ne apne maathey par chamakdaar bands bandhey hue they, jin par naye saal ke hawale se kuch mukhtalif paighamaat darj they. Wo log ek ghanta pehle, posh ilaqe ke ek badi supermarket me moujood they. Aur wahan wo mukhtalif ladko par awazein kastey rahe they. Apni bikes par sawaar mukhtalif chakkar laga rahe they. Unke paas firecrackers moujood they, jinhe wo waqtan fa waqtan chala rahe they. 11:45 par wo jimkhana ke bahar moujood they, jahan parking lot gaadiyon se bhar chuka tha. Ye gaadiyaan un logon ki thi, jo jimkhana me naye saal ke silsile me hone wali party me aaye they. Un ladko ke paas bhi is party ke dawati card moujood they. Kyu ki unme se takreeban tamaam ke walidain jimkhana ke members they. Wo ladke ander pohoche, to 11:55 ho rahe they.
Chand minto baad dance floors samet tamaam jaghon ki lights off ho jati thi. Aur uske baad bahar lawn me aatishbaazi ke ek muzahire ke saath naya saal shuru hone par lights on hona thi. Iske baad wahan takreeban tamaam raat wahan raqs ke saath saath sharab pee jati, jiska ehtemaam naye saal ki is taqreeb ke liye, jimkhana ki intezamiyan, khaas taur par karti thi. Lights off hote wahan ek toofaan e badtameezi ka aaghaz ho jata tha. Wur wahan moujood log isi toofaan e badtameezi ke liye wahan aate they. 15 saala wo ladka bhi 10 ladko ke us group ke saath aane ke baad us waqt dance floor par rock beat par dance kar raha tha. Dance me uski maharat qaable deed thi.
12 bajne me 10 second rehjane par lights off ho gayi aur theek 12 bajne par yak dam lights phir se on kardi gayi. Andhere ke baad seconds ginne walon ki awazein ab shor aur khushi ke kehkehon aur cheekhon me badal gayi thi. Chand seconds pehle tham jane wala music, ek baar phir bajaya jane laga.
Wo ladka apne dosto ke saath bahar parking me aa gaya, jahan bht se ladke apni apni gaadiyon ke horn baja rahe they. Unhi ladko ke saath beer ke can pakde, wo wahan moujood ek gaadi ki chatt par chadh gaya. Us ladke gadi ki chatt par khade khade apni jacket ki jeb se beer ka ek bhara hua can nikala, aur poori quwwat se kuch faasle pe khadi ek gaadi ke windscreen par de maara. Ek dhamake ke saath gaadi ki windscreen choor choor ho gayi. Wo ladka itmenaan ke saath apne bayein haath me pakda can peeta raha.
X-----X-----X
Wo pichle aadhe ghante se kamraan ko video game khelte hue dekh raha tha. Screen par moujood score me kuch khaas izafa nahi ho raha tha. Shayad iski wajah wo mushkil track tha jispar kamraan ko gaadi drive karni thi. Salar lounge ke sofon me se ek sofe par baitha, apni notebook par kuch likhne me masroof tha, magar waqtan fa waqtan nazar utha kar TV screen ko bhi dekh raha tha, jahan kamraan apni jadd o jahad me masroof tha. Theek aadhe ghante baad notebook band karke saamne padhi maiz par rakh di. Phir mooh par haath rakh kar jamai roki. Dono taange saamne padhi maiz par rakh kar, aur dono haathon ki ungliyaan sar ke peechey baandhey wo kuch der screen ko dekhta raha, jahan kamraan apni tamaam chances zaya karne ke baad, ek baar phir naya game khelne ki tayyari kar raha tha.
"Kya problem hai kamraan?" Salar ne kamraan ko mukhatib kiya
"Ese, bas naya game leke aaya hu, magar score karne me badi mushkil ho rahi hai." Kamraan ne bezaari se kaha.
"Achha mujhe dikhao" Usne sofe se uthkar remote control uske haath se le liya. Kamraan ne dekha, pehle 20 second me hi salar usko jis speed se uda raha tha, us speed par kamraan abhi tak nahi daudh paya tha. Jo track usko mushkil lag raha tha, wo salar ke samne ek bachkana cheez mehsoos raha tha. 1 minute wo jis speed par gaadi daudha raha tha, usi speed par kamraan ke liye us par nazrein jamana mushkil ho gaya. Jabke salar, is speed par bhi gaadi ko mukammal taur par control kiye hue tha. 3 minute baad pehli baar kamraan ne gaadi ko dagmagate aur phir track par se utarte aur phir ek dhamake ke saath usko tabah karte dekh.
YOU ARE READING
Peer -e- Kamil ( ROMAN URDU )
SpiritualPeer-e-Kamil (English: The Perfect Mentor) is a story focusing on a deviational sect which violates the finality of our Prophet (P.B.U.H) meanwhile, narrating a heart wrenching journey of two unhappy souls; Salaar Sikandar, a genius with an outstan...