chapter-2.

7 2 0
                                    

Toh irfan ne Kaha Ki Kaash jaisa tu keh rahi hai waisa hi ho.....

Tumhari Ammi ka ilaaj karna hai tera Nikah ka waqt bhi ek Na ek din aa jayega....

Pata nahi ye garibi kab tak hamein sehna padhega.....

Yahan tak ki kuchh dino mein Mahina khatam hone wala hai.....

Ghar ka kiraya toh hum ne 1 saal se nahi banna hai.....

Woh toh ghar ka maalik Baher rehta hai isliye hamein Zyada fikar nahi hoti....

Lekin ek na ek din toh woh Agra laut aayega na.....

Upar se kiraya na milne ki wajah se unhone sirf 1 Mahina ka waqt diya hai ghar khali karne ke liye.....

Paise bhi nahi hain jitne paise mai laya tha sab teri maa ke dawaiyan mein chale gaye.....

1 Rupaiya bhi nahi bacha hai pata nahi ab kya hoga.....

Toh fariha ne Kaha Ki Abbu aise himmat nahi haarte aap jaante ho na Allah talah hamesha hamari madad karega.....

Jab hum unhein dil se pukaarenge mai jaanti hoon ki unke ghar der zarur hai lekin ander nahi hai....

Toh Irfan ne Kaha Ki bas dua Karta hoon ki teri baat sachh ho jaye mujhe maaf karde beta.....

Toh fariha ne Pucha ki aap maafi kyun maang rahe hain.....

Toh Irfan ne Kaha Ki mai tujhe woh bachpan Nahi de saka jiski tujhe khwahish thi.....

Lekin tujhse mohabbat bahut karta hoon.....

Toh fariha ne Kaha Ki abbu aap ko maafi maangne ki koi zarurat nahi hai.....

Kyunki mera bachpan aap dono ke Saath guzra hai.....

Khush Naseeb hote hain woh aulaad jinke paas maa baap ho.....

Isliye mai bahut kismat wali hoon ki aap Mere abbu ho.....

MOHABBAT KI TALASH....Where stories live. Discover now