part - 23 🌷

11.3K 732 485
                                    

GUYS ZAYN ESHAAL KA OWN BROTHER HAI 🙆🙆🙆 stop pairing them 🤡🙃

Everyone sat in living room except sahir and eshaal...all were sitting silently trying to wrap their heads around the everything.

Fahaad and qurat shared an eye contact... They stood up and went to khalid and abrar.

Fahaad spoke " Jab mai aur ayn zafirabad gaye the... Humey shak hua tha inn dono par lekin hamey yeh nahi maloom tha ki nikkah hogaya hai...hum toh ulta pareshaan ho rahe the ki yeh log galat kar rahe hai aur hum badey hokar bhi inhe kuch bol nahi paa rahein hai...bade chachu (khalid) chote chachu (abrar) sahir shararti hoga aur bohut Childish bhi lekin usne apni shararatein ya apni zindagi ko alag rakhkar yeh faisla liya hoga...aap chahe kitna bhi mana karlein lekin sacch toh yeh hai ki sahir ne Eshaal ki izzat ka aur hamaari izzat ka soncha... Aap log khud sonchein agar woh uss waqt par sacch batata toh eshaal ko mushkil mein daal deta... Usne apne tareeqe se sambhaala hai sabkuch bina yeh jataaye ki usne na jaane iss ghar ke liye kya kiya...hum chahe kitna bhi ghoroor karlein ki bete hi ghar ka sab kuch hote hai lekin Asal toh betiyan hoti hai ghar ka sabkuch...unse ghar ghar hota hai...aur agar apko lagta hai ki eshaal ke saath nainsaafi hui hai... Aap usse baat karein saari baat jaanein...aur jahan tak mera khayal hai dono ne iss rishte ko dil se qubool kiya hai... sahir ne eshaal ki dhaal bankar yeh rishta joda hai... Aaj bhi sabke saamne eshaal ko jaise usne apne paas rakha aur kisi ko uske pass tak aane nahi diya... Isse zyada bada saboot kya hai ki Sahir se behtar eshaal ke liye koi nahi...dono iss rishte mein bakhoobi dhalgaye hai...hum unpar ungli uthaane ke bajaye...unke nazariye se sonchein toh asaan unke liye bhi nahi tha...mujhe dukh se zyada khushi ho rahi hai ki sahir ne sahin waqt par sahi decision liya... Unn dono se aaplog ki naarazgi shayad  jayaz ho lekin yeh sab chupaane ki wajah bhi toh hogi... Aur rahi baat zimmedaari ki toh mai apko batata hoon ke sahir zimmedaar ban raha hai...mujhe uske college ki mail aayi thi...gadhe ne ek nahi do semester exams saath mein diye aur distinction se pass hua hai .
(A/N also there's happy news at the end  of the chapter ☺ not related to book but 🙈🙈)
aur ek job interview mein usse final kiya hai...mai sonchta tha pata nahi yeh ladka kab sudhrega lekin dekhein bina kisi ko bataye ya kisi ko jataye woh zimmedaar bhi ban raha hai... Hamey aur kya chahiye... Unn dono ko daantne se ya saza dene se kya hoga...aur Alag karne ki baat toh aap dono sonchna hi chordein...Rooh nikal leni hai sahir ne sabki agar usse Eshaal ko alag kiya...mai maafi chahta hoon agar maine kuch zyada bol diya hai "

Khalid and abrar heaved a dejected sigh thinking that they weren't good enough for their own children.

Qurat moved forward and held their hands in her tiny ones and spoke "hum aaplog se bohut chote hai chote tayaabbu.. Chachu.. Lekin aapne dekha hoga sahir bhai...Eshaal ko kaise dekhte hai bilkul jaise haadi hamey dekhte hai...hum chahe jitna bhi avoid karlein   sacch ko... Wo chupta nahi hai...shayad unke ilm (knowledge) mein bhi naa ho yeh baat lekin hum sab ne toh dekha hai ki woh ek dusre ko kitna chahte hai...Allah ne shayad unke naseeb mein...Aise hi milna likha tha...isiliye yeh sab hua hoga...hum unka saath dene ke bajaye... Unpar ungli uthayein toh hum mein aur duniya mein kya farq hoga?  Hum maante hai ki itni badi baat chupaana galat hai...lekin uski koi wajah toh hogi... Aur unhone daadajaan ko toh bataya hai na Atleast...Aaplog thande dimag se sonchein jo bhi hua hai ache ke liye hi hua hoga...aur aaplog fir bhi unko alag karne ki sonch rahe hai toh yeh baat apne zehn se bilkul jhaadu pochha (sweep 🤣 and mop ) kardein kyunki Sahir bhai ko unki eshaayy se alag karne ki koshish bhi ki toh unhone hum sabko jaan se mardena hai" She ended it with a giggle.

Abrar and khalid placed their hands on qurat's head lovingly.

She went back and sat beside fahaad...he took her hands in his and kissed her knuckles appreciating her effort.

𝐏𝐘𝐀𝐀𝐑 𝐊𝐄 𝐊𝐈𝐒𝐒𝐄❤✨ 𝐁𝐎𝐎𝐊 𝟏Where stories live. Discover now