KNOWLEDGE

290 30 2
                                    

"Aaj meri vijay nahi huyi, Dharm ki vijay Adharm par huyi hai. Sachayi ki jeet burayi par huyi hai." Shri Ram said and then looked at Vibhishan sitting beside Ravan, who was taking his last breaths.

"Bhaiya, maine aapko issi din ke liye chaitaya tha.....Maine kaha tha ki Shri Ram se shatruta ka mol bhari padega." Vibhishan sobbed.

"J-Jaanta hu mere bhai.....woh mol maine apne aur apne kutumbo ke rakt se chukaya hai...." Ravan said.

"Laxman, Aahana aur Aarashi, Ravan apni akhri saase le raha hai, hai toh durachari kintu usme gyaan bahut hai. Jao jitna gyaan le sakte ho lelo." Shri Ram said.

"Jo agya." They said and went towards Ravan, sitting beside his head.

But instead of telling them anything, Ravan turned his head to the other side. Laxman, Aahana and Aarashi frowned as to he still has such arrogance in him.

"Laxman, Aahana aur Aarashi. Jab kisi se sikshan lete hai toh woh vyakti aapke guru hote hai. Aur Guru ke mastiksh par nahi paero par baithana chahiye." Shri Ram said as he sat beside Ravan's feet.

The three stood up and obeyed Shri Ram's words by sitting beside his feet, Ravan looked at them and gave a faint smile.

"Laxman.....jeevan ka sabse mahatwapoorn sikshan yeh hai ki.....vyakti ko jitna ho sake dush-karmo se dur rehna chahiye aur jitna ho sake acche karm karne chahiye. Yadi yeh ek sikshan jeevan mai utar liya toh swayam ko hi nahi, apne sampoorn kutmbo ko bhi bacha sakte ho." Ravan said.

"Aapka yeh Sikshan mai humesha yaad rakhunga Dashanan." Laxman said. Ravan then looked at Aahana-Aarashi.

"Aahana aur Aarashi......kabhi kabhi Mata-Pita ke karmo ka fal santano ko bhugatna padta hai.....jaise mere karmo ka fal Meghnath aur meri anya putro ko chukana pada......isse tum dono bhag nahi sakti ho kintu yadi dharm aur satya ke anusar chalogi toh sabka kalyan ho sakta hai." Ravan said.

"Jaisa aap kahe." The sister bowed their heads.

Ravan then looked at Shri Ram and Hanuman as few tears fell from his eyes.

"Shri Ram...aap swayam Narayan hai air Hanuman.....swayam Mahadev.....kshama kijiye mai aap dono ko pehechan na saka..." Ravan said joining his hands.

"Tumhara Kalyan ho Ravan." Shri Ram said.

Ravan smiled as he closed his eyes and took his last breath. Shri Ram got up to address the Asur sena.

"Lanka ke veer yoddhayo, Lankesh Ravan veergati ko prapt huye. Apne desh ki mahanta aur kirti ko punah ujagar karne hetu aap sabhi Maharaj Vibhishan ko poorn roop se sahyog de !" Shri Ram said.

□□□□□□□□□
A/N

ALREADY PLANTING SEEDS FOR THE SEQUEL.......WELL I HAVE BEEN PLANTING IT SINCE CHAPTER 5....WHO ALL HAVE NOTICED ?

ACCHA BATAO KITNO KO PATA CHALA MAINE MAHIRAVAN KA PART SKIP KARDIYA ?.....MUJHE TOH ABHI PATA CHALA.....KOI NAHI....BADE BADE GATHAO MAI CHHOTE CHHOTE PART SKIP HOTE REHTE HAI....*realizes it wasn't chhota part* HAYE RAM !

SURYAVANSHIWhere stories live. Discover now