SHARNAGATI

293 28 4
                                    

Seeing that most of Lanka has been burned and Shri Ram has also crossed the ocean and has reached Lanka, Vibhishan was trying to convince Ravan to let go of Mata Sita.

"Bhaiya meri baat maniye, lauta dijiye prabhu Shri Ram ko devi Sita nahi toh, mujhe dar hai ki, yeh nagar hi nahi humara vansh bhasm ho jayega." Vibhishan said kneeling in front of Ravan.

"HEY NIRLAJH !" Ravan kicked Vibhishan away.

"Agar tumhari jagah kisi aur ne mujhse yeh kehne ka sahas kiya hota toh mai usse yahi maar deta !! Yeh Trilokadi-pati Dashanan Lankesh Ravan, jiske naam se devta bhi kaapte hai, kya woh ek nirbal manushya se bhayebhit hoga !? CHALAJA DUSHT ! CHALAJA DROHI MERE SAMNE SE TU !" Ravan roared.

Each word pierced Vibhishan's heart and self respect. He got up and walked away as tears streamed down his face, for he knew the destruction of his family is now inevitable. He tried everything he could to bring Ravan to the right path but got humiliated each time and now he couldn't take it anymore.

□□□□□□

Shri Ram, Laxman, Hanuman ji, Aahana, Aarashi and Jambhuvant were together in a tent

"Ravan ki sena atyant vishal hai, uska samna hume apni sena ko tukdiyo mai baat kar karna hoga." Laxman ji said.

"Yeh maarg uchit rahega." Shri Ram said.

Suddenly Sugreev entered the tent along with Nal and Neel.

"Shri Ram, Ravan ka chhota bhai aaya hai aapki sharan mai." Sugreev said.

"Toh hume usse sharnagati deni chahiye." Shri Ram said.

"Kintu prabhu woh Rakshas kul ka hai aur humare shatru Ravan ka bhai hai. Kya pata woh uska guptchar ho ahr humara vishwas jeet ke hume hi dhokha dede." Jambuvant said.

"Kintu sharan mai aaye vyakti ko sharnagati dena hi Suryvansh ki reeti hai aur kshatriya dharm bhi." Aahana said.

"Waise naam kya hai Ravan ke bhai ka ?" Aarashi asked.

"Vibhishan naam hai." Sugreev said.

"Vibhishan ?" Hanuman ji asked.

"Kya shanka utpan huyi naam sun kar ?" Sugreev asked.

"Nahi yeh naam sun kar sabhi shanka dur hogayi." Hanuman ji said.

"Hanuman tum baat toh aise kar rahe ho jaise ki woh humara subh-chintak ho. Yeh mat bhulo ki woh rakshas jaati ka hai aur humare shatru ka bhai hai." Jambhuvant said.

"Rakshas jaati ka hai, iska yeh arth toh nahi ki dusht aur durjan hi ho. Rakshaso mai bhi Maharaj Bali jaise dharmatma aur Prahlad jaise hari-bhakt bhi huye hai. Koi bhi vyakti apne jaati se nahi karmo se accha ya bura hota hai." Hanuman ji said.

"Mera mat hai ki hume Vibhishan ko sharan mai lena chahiye. Chahe unke man mai paap aur dvesh ho ya na ho, akhir thagna paap hai thage jana nahi. Sharan mai aaye vyakti ko abhay karna hi sad-purusho ka kartavya hai." Shri Ram said.

"Dhanya hai aap prabhu, aur dhanya hai aapke vichar." Hanuman ji said.

"Aahana aur Aarashi kripiya Vibhishan ko samman-poorvak yaha le aao." Shri Ram said.

"Jo aagya." They said and walked away.

When they reached there they saw 5 people, floating in the air.

"Aap mai se Vibhishan kaun honge ?" Aarashi asked.

"Mai hi Vibhishan hu." The man in the front said.

"Suryanagar ki Rajkumariyo ka pranam swikar kare Mahodaye." Aahana said.

"Hey Suryaputriyo, aap bhi humara pranam swikar kare." Vibhishan said.

"Prabhu Shri Ram ne aapse bhet karna swikar kar liya hai." Aarashi said, a smile appeared on Vibhishan's face.

"Atah aap padhare aapka swagat hai." Aahana said.

"Dhanyawaad." Vibhishan said and came down along with his companions.

Together they went to the tent of Shri Ram, and seeing him a few tears fell from Vibhishan's eyes.

"Hey Nath, mai Lankesh Ravan ka chhota bhai Vibhishan hu. Hey devtao ke rakshak, mujh mai saare avgun hai, mera janm Rakshas kul mai huya hai, mera sharir tamsic vritti ka hai. Iss sab ke karan mai toh aapke Darshan ke yogya bhi nahi, kintu fir bhi aapke sharan mai aaya hu. Kyuki jisko aapki sharan mil jaye usko janm aur mrityu ke bhaye se mukti mil jati hai." Vibhishan said.

"Aap humare shatru ko tyag kar humare paas aaye hai, atah aap humare Mitra huye, Lankesh." Shri Ram said.

"Lankesh ? Prabhu Lankesh toh abhi Ravan hai. Mai toh keval sharnarthi hu." Vibhishan said.

"Ravan bhi abhi kuch hi dino ke liye Lankesh hai. Unke paap karm, unki mrityu ko nikat le aayi hai. Yudh ke baad aap hi ko Lanka sambhalna hai aur praja ka dhyaan rakhna hai." Shri Ram said.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

AAGAYA GHAR KA BHEDI LANKA DHAANE....I-I-I MEAN AAGYA VIBHISHAN, SHRI RAM KE SHARAN MAI.

FUN FACT : IN SOME REGIONAL VERSIONS OF RAMAYAN, SHRI RAM WAS HAPPY WITH VIBHISHAN'S DAUGHTER TRIJATA FOR CARING FOR SITA AND GIVES HER A BOON THAT SHE WILL BE BORN AS HIS SISTER IN THE NEXT LIFE. AND THUS TRIJATA WAS BORN AS SUBHADRA.

NOW THERE IS NO EVIDENCE ABOUT IT BEING TRUE AS THE PURANAS AND MAHABHARAT CLEARY MENTIONS SUBHADRA BEING THE INCARNATION OF YOGMAYA.

I PERSONALLY BELIEVE SUBHADRA WASN'T TRIJATA BUT THOUGHT THIS TO BE AN INTERESTING FACT TO SHARE, WHO KNOWS MAYBE TRIJATA WAS AN INCARNATION OF YOGMAYA ? THAT WOULD EXPLAIN WHY SHE SPENT SO MUCH TIME WITH SITA AKA MATA LAKSMI. WHAT WAS THE REALITY ? WE MAY NEVER KNOW, WE CAN ONLY GUESS AND ASSUME.

SURYAVANSHIWhere stories live. Discover now