Ammyji (English Urdu)

805 16 20
                                    

Copyright S.Yousaf

I know not where to begin,

For my mind hazes with a fog of confusion and grief

Tears now flow

The Grief is a huge blow

Ammyji,

No words could describe how I feel

No words could tell you what goes on in my mind or heart,

But albeit one must try

and I shall give you a mere glimpse

Aap ne kabhie humse unchi awaaz meh baat nahin kee

Kabhie koyee gila, shikwa ya narazgee nahin kee

Magar humse kahin tho kohee kaamee rahee ho gee?

Hume khidmaat ka moka nahin mila

Aur Allah neh ab woh haq hee humse cheen liya

Aapke kahee woh har baat

Aapkee woh har aik muskurahat

Hum seene se laga ke rakeh gaye

Aapka saya humse ut gaya

Magar aapke duaye humare saat rahe gaye

Socha tha jab mere bacho ki shadi hogi

Aap Mere paas hogaye

Magar Allah ko yeh manzoor nahin tha

Mere aik saathi chalehgaye

dukh meh

khushi meh

Mein rohu ya meh hassu

Mere dil meh aap mere saath theh

 

Koi kadaam meine jab utaya

Woh behshuk chotee baat hee ho

Hamesha socha Ammyji kiya bole gaye? Unka saath hai?

Hamesha aapne saath diya

Hamesha aapne haq peh bola

Kuch din lageh

Yakeen phir bhi nahin hota

Jo hamare theh

Woh Allah ke paas chaleh gaye

Zindagi chotee hai, yeh pata tha

Magar koi pyara aur humara

Itnee chaldee chaleh jayeh gaye

Kabhie soch nahin tha

Aapke yaadein

Woh khubsurat baatein

Hamesha keh liye dil meh rahe gee

Mere baacho ko pata hoga

Keh unkee DhadhiAmmy kitni achi theeh

Aapka saath hamesha rahe ga

Magar kaise, jab aap hee nahin yaha?

Aapke parvarish meh

Aapke seek meh

Humare baacho meh

Aap hamesha rahe gee

Hum aaj hai, kaal nahin

Magar humara pyar kabhie khatam nahin hota

Aapse hum theh

Aapse hum hai

Aapse hum rahe gai

Hamari Ammyji ka saya choot gaya

Hamari siir peh woh haath chala gaya

Baroh ka saath cheen gaya

Magar dil thoh hai

Aur usme aap zinda hai

Aapki hasse hume nazar athi hai

Aapki woh baatein kahno meh ghunj thi hai

Dil ko sakoon milta hai

Magar yeh bhi aik saach hai ke...

Ammyji, aapke begerh

Kuch soona soona lagta hai

Hamare bazooh suneh ho gaye

Aur Janna neh aapko apne bazooh le liya

*******************

I lost my amazing mother in-law a few days ago.

An inspriration, a guide and a purely wonderful human being

I love her more than words could describe

I miss you so so much Ammyji

xoxoxox

Your Bena

Copyright S.Yousaf

Ammyji (English Urdu)Where stories live. Discover now