part 88

422 19 0
                                    

Tumharay raastay mein aaunga, to tum bhi meray raastay mein aane ki koshish mat karna. Dhamki aamiz lahja is baat ka gumraaz tha ke usne wahi haath rakha tha, jahan sab se zyada dard hota tha. Main ne kya karna hai aur kya nahi, is ka faisla abhi nahi kiya main ne. Usne mohazzib se andaaz mein keh kar phone rakh diya.

Major Ahmed ka shukriya, jisne use ek doosray rah par sochna sikhaya tha.

Aur kya qurbani kar sakti ho tum apna faasla ghatane ke liye? Raat sone se pehle yeh aakhri baat thi jo Ayesha ne us se poochi thi. Usne neend mein doobi aankhein khol kar sawaaliya nigaahon se Ayesha ko dekha, boli kuch nahi. Main bataun? Tum apni neend qurbani kar na seekh lo. Woh keh kar lait gayi to haya ne bujhli hoti aankhein band kar li.

Subah fajr ki azaan ke saath hi bahaarein uska kandha jhunjhor kar use utha rahi thi.

Uth jao! Ayesha ne kaha hai aaj se tum bhi hamare saath Quran parhne jao gi.

Main? Usne kaslmandi se aankhein zara kho li. Mujhe neend arahi hai.

Nahi, nahi, ab to tumhein bhi jaana pare ga. Yeh tocher tum bhi saho na. Main akeli kyun bardasht karoon? Ab uth jao. Dam kayi lomri doosray ki dam phande mein phanstay dekh ke bohot khushi khushi achalti kudti tayyar ho rahi thi.

Haya badqat tamaam kambal utaar kar uthi. Use aur DJ ko subah khiz ki adat to thi, magar unki subah fajr qaza hone ke baad hoti thi aur phir bhagam bhag campus ki tayyari.

Usne apna lehnga ke rang ka zard farak pehna, jo ek dafa jihan ke ghar pehne ke gayi thi aur giley baal khulay chhod kar singhar meez ke samne aakri hui. Abhi usne pur-fiyoom ki sheeshi uthayi hi thi, bahaarein aqab mein zor se chikhni.

Yeh kya kar rahi ho?

Kya? Woh uske achank chalne par dar kar palat gayi.

Tum bahar jaane se pehle pur-fiyoom laga rahi ho? Bahaarein be yaqeeni se poori aankhein khol kar use dekha.

A... Haan... Kya hua?

Ayesha gull kehti hai, achhi larkiyan bahar jaane se pehle itna tez pur-fiyom nahi lagati hain. Tum ye body spray laga lo, magar main nahi. Allah Ta'ala naraz hota hai. Woh bohot khafgi se danti hui Haya ke saath akhri hui aur phir ediyon par pur-fiyom unchi utha kar khud ko aaine mein dekhti aur scarf letne lagi.

Haya ne ek haath mein pakre pur-fiyom ko dekha aur phir zara sa khufz se use rak kar body mist utha liya.

Haleema aunty ke lawn mein chandni bichi thi. Woh markazi jagah par bethi thi aur sare chhote bare bachay unke gird neem daire ki soorat bethe the. Woh teeno jis waqt daakhil hui, ek jaga se bachon ne foran jaga chhod kar daire bara kar diya. Haleema aunty ne ek narm muskurahat unki taraf achhal kar sar ko jhukaye.

Main panah mangta hoon Allah Ta'ala ke dhatkare huye shaitan se. Allah ke naam ke saath jo bohot meherban aur baar baar raham karne wala hai.

Qur'at karne wala bacha sunehre balon wala turk tha, jisne sar par jaali daar topi le rakhi thi. Baqi bachay khamosh the. Woh apni bareek, madhur awaz mein parh raha tha.

Aap imaan lana wali auraton se keh dein ke woh apni nigahain jhuka kar rakha karein aur apne qabil sitar aza ki hifazat karein. Woh jo jumahi rokti idhar udhar dekh rahi thi, ek dam gard bada kar seedhi ho bethi.

Aur woh apni zeenat zaahir na karein, siwaye us ke jo khud zaahir ho jaaye.

Kamseen bachay ki awaz ne saare mahol ko apni lapet mein le rakha tha. Har so ek sahar sa taari ho raha tha. Haya ne be ikhtiyar sar pe odhay dhotay se kaan dhakay, jin mein usne moti wali baliyan pehn rakhi thi. Wahi moti jo jihan ke sip se nikle the. Bahaarein ne use ek ek moti dono baliyon mein puru diya tha. Teesra moti Haya ne sambhal rakha tha.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now