part 81

433 27 0
                                    

Aur aag wale jannat walon ko pukaar pukaar kar kahenge keh "Daalo hum par paani mein se ya iss mein se jo Allah ne tumhein baksha hai." Woh kahenge, "Be shak Allah ne in dono ko haram kar diya hai inkar karne walon par."

Woh wahi railing pe haath rakhe, saakit si khari reh gayi. Ek dam se waqt paanch roz peechay chala gaya. Woh kursi se bandhi hui iss kamray mein giri pari thi jismein bohot si aag thi. Aaloo, angithi, ubalta aur yakh, dahakti silaahiyan. Usay apni cheekhnain sunayi de rahi thi. "Paani daalo mujh par... paani daalo mujh par..." Woh agle teen roz soti jaagti quality mein yehi chalati rahi thi.

Aaishay usi tarah parh rahi thi. "Be shak Allah ne in dono ko haram kar diya hai inkar karne walon par, woh log jinhon ne apne deen ko shugal aur khel bana liya tha."

Woh be dam si ho kar wahi aakhri seedhi pe bethi chali gayi. "Woh log keh jinhon ne apne deen ko shugal aur khel bana liya tha aur unki duniya ki zindagi ne dhoke mein daal rakha tha."

Angithi mein jalti masnooi lakdiyon se changariyan uth uth kar fiza mein gum ho rahi thi. Woh yaktak gum sam hi dekhti lakdiyon ko dekhe gayi.

To aaj ke din, hum bhula dein ge unko jaisa ke woh apni iss din ki mulaqat ko bhool gaye the aur woh hamari nishaniyon ka inkar kiya karte the." (Al-Araf 51-150)

Dafa'tan Aaishay ne kisi ehsaas ke tehath gardan mudi. Usay yun aakhri zeenay pe bethe dekhe dekhte ankhon mein fikarmandi ubhri. Usne Quran band kiya aur uth kar ehtiyaat se shelf ke oopri khane mein rakha, phir uske saath zeenay pe abeeti.

Aise kyun beti ho haya?" Woh narmi se poochh rahi thi.

Haya gum sam si uska chehra dekhe gayi. Uska scarf mein lapet Aaishay ka chehra neem andhere mein bhi damak raha tha. Uski ankhain ab siyah lag rahi thi. Yeh ladki itni pursukoon, itni narm kaise rehti thi har waqt? Uske chehre pe koi dhool, koi dhund, koi mubham pan kyun nahi hota tha? Saaf, shafaaf, ajla chehra. Masoomiyat, kam umri. Haya!" Usne dheere se haya ki band muthi par apna haath rakha. Haya ne chehra zara sa phir utha, iss se roshni nahi dikhai ja rahi thi. Uski ankhain andhere ki bohot aadi ho chuki thi.Yeh jis se surkh danay urra kar fiza mein tehleel ho rahe thay. "Jab yeh apni chipakne wali cheezon mein itna gum kar leti hai ke Allah bhool jata hai."

Duniya dhokay mein kaise dalati hai Aaishay? Woh ab bilkul bhi usay nahi dekh rahi thi. Woh aaloo ko dekh rahi thi. "Kya mujhe bhi duniya ne dhokay mein dala hai?"

Pehli dafa ka insaan bhoolpan mein khaata hai magar baar baar khaye toh woh gunah ban jata hai aur agar kisi ehsaas hone ke baad na khaye toh use ek buri yaad samajh kar bhool jana chahiye aur zindagi naye sarey se shuru karna chahiye."

"Naye sarey se?" Aise uthay lena asaan hota hai kya? Insaan ka dil chahta hai ke woh khoobsurat lage, khoobsurat libas pehne, kya yeh buri baat hai?" Uski awaaz mein be bassi dar aa rahi thi, jaise woh kuch samajh nahi pa rahi thi. Kya ghalat tha ki sahi, sab gadbad ho raha tha.

Nahi! Allah khoobsurat hai aur khoobsurati ko pasand karta hai. Yeh cheezen zindagi ka hissa honi chahiye. Magar unko aapki puri zindagi nahi banna chahiye. Insaan ko un cheezon se oopar hona chahiye. Kuch log meri tarah hote hain jin ki zindagi lakdi ke khilonay banane, machli pakarne aur sachi moti chunne tak mehdood hoti hai aur kuch log bade maqasid le kar jeete hain. Phir woh choti choti baaton ko le kar pareshan nahi hote."

Haya ne ghair iradi tor par ek nigaah apne kandhe pe daali jahan asteen ke neeche "Handle with Care" likha tha.

"Aur jin ki zindagi mein bara maqsad na ho, woh kya karein?"

"Wohi jo main karti hoon. Ibadat! Hum ibadat ke liye peda kiye gaye hain, toh humein har kaam ko ibadat bana lena chahiye. Ibadat sirf roza, nawafil aur tasbeeh ka naam nahi hota. Balki har insaan ka talent bhi uski ibadat ban sakta hai. Main baharay ke liye phoolon ke baar aur aanay ke liye khaana banati hoon. Meri yeh sala rehmi meri ibadat hai. Main puzzle boxes aur motiyon ke haar bechti hoon, mera yeh rozi talashna meri ibadat hai. Yeh choti choti kaam karte karte insaan bade bade maqasid paal leta hai.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now