part 66

430 22 0
                                    

"Haya toh tum nahi jaar hi na. Waise Meri Abhai Meri tarah buzurg nahi hai balkay kaafi bahadur hai. Meri beti ne bhi aakar issi scholarship ka kaha tha, magar maine uski maa se kaha ke use samjhaao akeli ladki jab doosre mulk yun tan tanha jaati hai toh poora khandan ungliyaan uthata hai.

Bhai beti jitni ehtiyaat kare, log toh baatein banaate hain ke koi eijoo kaisay rehti hai, wahan akeli bahar aana jaana hoga, kiss se milti hai, kiss se nahi, phir koi aur nach bich ho jaaye toh maa baap toh ho gaye bad naam. Khair! Waise Turkey toh acha Musalman mulk hai aur tumhari family saath thi toh hamein apni beti ki taraf se be fikri rehti thi."

Unhone kehte hue muskurakar Haya ko dekha jo khamoshi se plate mein dhare chawal kaante se idhar udhar kar rahi thi. Woh kha nahi rahi thi, kisi ne mehsoos nahi kiya.

"Haya! Tumne shaadi ke kapde bana liye?" Saaima Tai ne guftagu ka rukh uski taraf mura. Usne zara si nafi mein gardan hilaayi.

"Abhi dekhoon gi. Mujhe ilm nahi tha ke amaan ne kapde banwaye hain ya nahi. Chalo tum ready-made bhi le sakti ho, aasani ho jayegi. Sara masla meri umer ka hota hai. Dupatta chiffon ka na ho, patla dupatta sir pe hi nahi sakta, aastin baar yak na ho aur phir jo jora acha lagta hai uski aasteeniyan hi ghayab hoti hain.

Tumhari toh khair hai, tum sabhi kuch pehan leti ho, saari musibat toh meri aati rehti hai. Bar bar darzi ke chakkar lagane padte hain." Baat khatam kar ke unhone ek nazar jihan par daali. Woh tissue se haath saaf kar raha tha.

"Bas kyun kar di beta? Aur Luna, khana theek laga tumhe?"

"Ji! Mami! Khana toh bohot acha tha, bas zara mirch zyada thi." Woh pehli dafa qadre muskurakar bola. Jihan Tai ki muskurahat pheeki hui, wahan Soniya Bhabhi ne apni muskurahat chhupane ke liye chehra jhuka diya.

Raat deer tak jaagne ke baa'is woh subah din chadhe tak soti rahi aur aankh khuli bhi toh mobile ki awaaz se. Usne mandi mandi si aankhein kholi aur side table par rakha apna Pakistani mobile utha kar dekha. Wahan private number calling jalta bujhta dikhaai de raha tha.

"Uff... yeh phir peeche pad gaya." Aur use pata tha ke jab tak uthaye gi nahi, woh call karta rahe ga."Hello?" Usne kahniyon ke bul uthe huye phone kaan se lagaya.

"Waikam beekam. Kaisi hain aap?" Wohi dheema, khoobsoorat, gambheer lahja. Uski peshani par bul par gaye.

"Kyun phone kiya hai aap ne?"

"Aap ki dost ka suna tha, bohot afsos hua."

Ainda aap ko kabhi afsos ho ya khushi ho, mujhe phone mat kejiye ga."

"Aap itni badgumaan kyun rehti hain? Aap agle bande ki poori baat kyun nahi sunti? Mujhe kehne toh dein jo mujhe kehna hai!" Usay jaise ghussa aaya tha.

Dekhiye, main jaanti hoon ke aap kaun hain? Main yeh bhi jaanti hoon ke aap kis ke betay hain aur yeh bhi ke aap ka mere khandan se kya issue hai, magar baat jo bhi hai, us ka mujh se koi wasta nahi hai. Aap aindah phone karen ge bhi toh main nahi uthaongi. Khuda Hafiz."

Usne zor se button daba kar phone band kiya aur takye pe uchaal diya. Pata nahi kon sa gunaah tha us ka, jo woh shakhs us ke peeche pad gaya aur apne saath bohot se masael us ke peeche laga diye.

Shaam mein Fatima ke behad israar aur phir naraz hone ki dhamki ke baad Haya ka mudaar anaar kali frock pehne pe raazi hui jo rang ke farq ke saath tamam larkiyan mehndi ke liye banwaye thay. Us ka qataa tayyar honay ko dil nahi chaah raha tha, magar Fatima ne us ki aik nahi suni.

Jo ho chuka hai, hum usay badal toh nahi sakte. Phir logon ko khud pe tamsukhar karne ka mauqa kyun? Fresh ho kar jao varna tumhari Tai koi na koi kahani banadein gi."

Lamba anaar kali frock gehre sabz rang ka tha aur us pe dekay ka silwar kaam tha. Saath mein Soniya Bhabhi ne us ko apna sabz aur silwar par anda bandh diya ke sab larkiyan anda pehnein rahi thi. Silwar trika bhi Soniya ne hi us ki peshani par sajaaya, magar kisi bhi qisam ke singhar ke liye woh qataa raazi nahi thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now