part 42

527 25 3
                                    

Dj ghusse mein bohot kuch kehti gayi thi, magar use sunai nahi de raha tha. Woh aankhein moonde hole hole paaon jhulane lagi.

DJ pair pich kar bahar nikal gayi.

Woh raat Valentine ki raat thi. DJ ka mann room mein manqeda aal gir laz party mein ja chuki thi, jo larkiyon ne mil kar di thi, jabkeh Haya aaine ke samne khadi apna makeup kar rahi thi. Uski tayyari mukammal thi, lekin jab tak woh apni aankhon ke katoray ka jal se bhar na leti, use tasalli nahi hoti thi. Abhi woh kajal ki silai ki nok aankh ke kinare se ragarhti rahi thi ke darwaza baja.

Dheemi si dastak aur phir khamoshi.

Usne kajal ki silai niche ki aur palat kar dekha.

Yeh andaaz DJ ka to nahi tha. Woh yunhi kajal pakde aage badi aur naab ghumakar darwaza khola.

Bahar balkoni mein roshni thi. Jaise hi usne darwaza khola, balkoni taareek ho gayi. Ghalba seerhiyon ke oopar laga bulb bujh gaya tha. Kya koi aakar wapas palat gaya tha?

Kaun? Usne gardan aage kar ke raahdari mein dono simt dekha. Har suu khamoshi thi. Balkoni veeran thi.

Wahan sardi thi aur andar kamra garam tha.

Woh chand seconds khadi rahi, phir dheere se shaane uchka kar palatne hi lagi thi ke...

Oh nahi! Uske labon se ek udaasi hui karaah nikli.

Chaukhat pe uske qadam ke saath safaid gulabon ka buqay aur ek band lifaafa rakha tha. Woh jhuki, dono cheezein uthayi aur jaraahana andaaz mein lifaafay ka munh phaara. Andar rakha chaukor kaghaz nikala aur chehre ke samne rakha.

Happy Valentine's Day.

From your Valentine.

Usne lab beech kar ke tanafur se woh tehreer parhi aur phir be had ghusse se kaghaz morh kar guldaste samt poori quwwat se raahdari mein de maara.

Aouch! Woh waapas mudne hi lagi thi, jab kisi ki boo khilayi hui aawaz suni. Usne chonk kar peechhe dekha.Gul dasta aur kaghaz seedhe haath walay kamray se nikalte Muatasim ko ja lagay thay aur us se takra kar ab us ke qadmon mein pare thay.

"Yeh kya hai? " Woh haka baka khara tha.

"Aye, I'm sorry Muatasim!" Woh shadeed bezaari se bimushkil zubt kar ke boli. Muatasim ko wazahat dene ka soch kar hi use koft ho rahi thi.

"Yeh main ne tumhein nahi diye balkay kisi fazool insaan ne mujhe bheje hain. Tum bar imt manna aur unko dustbin mein phenk dena. Woh ek haath darwaze par rakhe, doosre mein kajal pakde zaraar khai se boli. Muatasim ne jhuk kar woh kaghaz uthaya aur seedhe hote hue uski shikanay durust kar ke chehre ke samne kiya. Haya ko koft hone lagi.

"Main keh rahi hoon na, sorry." Woh jo qadre bhanwain skared kaghaz ko dekh raha tha, chonk kar usay dekhne laga.

"Nahi, it's okay. Magar yeh... Tumhein spongy mein koi tang kar raha hai?" Woh tehreer pe nigahen daurate tashweesh se poochh raha tha.

"Yeh baat nahi hai. Yeh bohot pehle se mere peechay pada hua hai. Lambi kahani hai, jaane do. Usko kooday mein phenk do. Good night."

Woh mazeed murawwat ka mazahira kiye baghair darwaza band karne lagi thi jab woh hole se bola.

"Yeh geela kyun hai? Tum royi ho??"

Kuch tha us ki awaz mein darwaza band karti taiyar kiya, phir pat neem va kiya aur balkoni mein qadam rakha.

"Main kyun roo gi?" Woh kaghaz ko dekhte hue boli.

Muatasim kaghaz ke nichle daayein taraf ke kinare par ungli phera raha tha.

"Phir yeh geela kyun hai? Shayad phoolon mein paani tha?"

Haya mechanical andaz mein nafi mein gardan hilayi.

"Nahi, yeh to motay lifafay mein mohar band tha."

Muatasim ne woh nam hissa naak ke qareeb le ja kar aankhen moonde sans ko andar kheench hi."Stress? Lemon? Lime?" Woh matndar buzub sahaya ko dekhne laga.

"Kya keh rahe ho, mujhe kuch samajh mein nahi aa raha."

Kisi ne uske nichle kinare par lemon ka ras lagaya hai. "Phir usne zara chonk kar diya ko dekha."

"Tumhare paas matchsticks hain?"

Woh jawab diye bina ulte qadmon peechay aayi aur darwaza pura khol kar ek taraf ho gayi. Muatasim qadre jhijh ka phir kaghaz pakde andar daakhil hua.

Haya ne apni aur DJ ki kursiyan amne samne rakhi aur phir taale ki mez par cheezein ulta pulat karne lagi. "Kya tum bhi bachpan mein leemo ke ras aur aag wala khel kheltay thay? Woh ab mez ki daraz khol kar kuch dhoond rahi thi.

Muatasim dheere se hansa.

"Bohot khel khelte hain aur un mein se aksar aag wale hote thay. Palestini mein bohot aag hai, shayad tum samajh sako."

"Chalo aaj un trackon ke khel Israeli aag se khelte hain." Woh daraz se ek cigarette lighter nikal kar uske samne kursi par a beti aur lighter uski taraf bharhaya.

Muatasim ne lighter ka peeha angoothay se daba kar ghumaya to aag ka neela shola jal utha.

"Ehtiyaat se." Woh be ikhtiyar ke uthi.

Muatasim ne jawab nahi diya. Woh khat ke nam hisse ko, jo abhi tak nahi sukha tha, sholay ke qareeb laya. Zara si tapish mili aur alfaz ubhar ne lage.

Bade bade kar ke likhe angrezi ke teen huroof. "A R P"

Woh huroof ain "From your Valentine" ke neeche likhe thay.

Dono chand lamhe kaghaz ke tukde pe ubhre bhure huroof ko takte rahe, phir ek sath gardan utha kar ek"ARP... Airp? Kaisa lafz hai yeh?" Haya ne mumkinah adaigi ke dono tareeqon se huroof ko mila kar parha.

"Shayad koi naam!"

"Kya ARP koi track naam hai?"

Maloom nahi." Muatasim ne shaanay uchka diya.

Haya sochti nigaahon se kaghaz ko takhti rahi.

"Kya mein tumhari koi madad kar sakta hoon?"

Usne ek nazar Muatasim ko dekha phir muskurayi aur sir luta.

Woh hole se muskura kar khara hua aur kaghaz mez par rakha.

"Woh jo bhi hai, shayad tumhein apna naam batane ki koshish kar raha hai. Woh kaun ho sakta hai, yeh tum behtar samajh sakti ho gi. Mujhe ab chalna chahiye."

"Hoon. Thank you Muatasim!"

Muatasim ne zara si sar ko jhuka diya aur bahar nikal gaya.

Darwaze ka kheecher set rooi se waapas chowkhat tak jaane laga.

Haya chand lamhe mez pe rakhe kinaray se bhure hue kaghaz ko dekhi, phir be ikhtiyar kisi mechanical amal ke tahat usne haath mein pakri ka jal ki silai ko seedha kiya aur baayein hatheli ki peeth par woh teen huroof utare.

"A R P"

Darwaza chowkhat ke saath lagna hi wala tha. Zara si der se baahar raahdari mein girne wala dastah dikhayi de raha tha. Ek do pal mazeed guzre aur zor daar "thaa" ki awaaz ke saath darwaza band ho gaya.

Woh apni hatheli ki peeth par siyah rang mein likhe woh teen alfaz dekhti rahi.

"A R P...

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now